bhuk hai to sabr kar roTi nahin to kya hua
bhuuk hai to sabr kar roTī nahīñ to kyā huā
āj-kal dillī meñ hai zer-e-bahas ye mudda.ā
maut ne to dhar-dabochā ek chīte kī tarah
zindagī ne jab chhuā tab fāsla rakh kar chhuā
giḌgiḌāne kā yahāñ koī asar hotā nahīñ
peT bhar kar gāliyāñ do aah bhar kar bad-duā
kyā vajah hai pyaas zyāda tez lagtī hai yahāñ
log kahte haiñ ki pahle is jagah par thā kuaañ
aap dastāne pahan kar chhū rahe haiñ aag ko
aap ke bhī ḳhuun kā rañg ho gayā hai sāñvlā
is shahar meñ vo koī bārāt ho yā vārdāt
ab kisī bhī baat par khultī nahīñ haiñ khiḌkiyāñ
bhuk hai to sabr kar roTi nahin to kya hua
aaj-kal dilli mein hai zer-e-bahas ye muddaa
maut ne to dhar-dabocha ek chite ki tarah
zindagi ne jab chhua tab fasla rakh kar chhua
giDgiDane ka yahan koi asar hota nahin
peT bhar kar galiyan do aah bhar kar bad-dua
kya wajah hai pyas zyaada tez lagti hai yahan
log kahte hain ki pahle is jagah par tha kuan
aap dastane pahan kar chhu rahe hain aag ko
aap ke bhi KHun ka rang ho gaya hai sanwla
is shahar mein wo koi baraat ho ya wardat
ab kisi bhi baat par khulti nahin hain khiDkiyan
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 21)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.