bhuk mein koi kya batlae kaisa lagta hai
bhuuk meñ koī kyā batlā.e kaisā lagtā hai
sūkhī roTī kā TukḌā bhī tohfa lagtā hai
ye to khilaune vaale kī majbūrī hai varna
kis bachche kā ronā us ko achchhā lagtā hai
jab se chhoḌ diyā hai paisa do paisa lenā
ab to bhikārī bhī kuchh izzat vaalā lagtā hai
yaaro us kī qabr meñ do roTī bhī rakh denā
marne vaalā jaane kab kā bhūkā lagtā hai
mahloñ ke gun gaatā bhī to kaise ai 'aḳhlāq'
tū to pyāre fuTpāthoñ kā raaja lagtā hai
bhuk mein koi kya batlae kaisa lagta hai
sukhi roTi ka TukDa bhi tohfa lagta hai
ye to khilaune wale ki majburi hai warna
kis bachche ka rona us ko achchha lagta hai
jab se chhoD diya hai paisa do paisa lena
ab to bhikari bhi kuchh izzat wala lagta hai
yaro us ki qabr mein do roTi bhi rakh dena
marne wala jaane kab ka bhuka lagta hai
mahlon ke gun gata bhi to kaise ai 'aKHlaq'
tu to pyare fuTpathon ka raja lagta hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 51)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.