chandni chhat pe chal rahi hogi
chāñdnī chhat pe chal rahī hogī
ab akelī Tahal rahī hogī
phir mirā zikr aa gayā hogā
barf sī vo pighal rahī hogī
kal kā sapnā bahut suhānā thā
ye udāsī na kal rahī hogī
sochtā huuñ ki band kamre meñ
ek sham.a sī jal rahī hogī
shahr kī bhīḌ-bhāḌ se bach kar
tū galī se nikal rahī hogī
aaj buniyād thartharātī hai
vo duā phūl-phal rahī hogī
tere gahnoñ sī khankhanātī thī
bājre kī fasal rahī hogī
jin havāoñ ne tujh ko dulrāyā
un meñ merī ġhazal rahī hogī
chandni chhat pe chal rahi hogi
ab akeli Tahal rahi hogi
phir mera zikr aa gaya hoga
barf si wo pighal rahi hogi
kal ka sapna bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi
sochta hun ki band kamre mein
ek shama si jal rahi hogi
shahr ki bhiD-bhaD se bach kar
tu gali se nikal rahi hogi
aaj buniyaad thartharaati hai
wo dua phul-phal rahi hogi
tere gahnon si khankhanati thi
bajre ki fasal rahi hogi
jin hawaon ne tujh ko dulraya
un mein meri ghazal rahi hogi
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 28)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.