chandni shab mein sartaj mulaqat karo
chāñdnī shab meñ sartāj mulāqāt karo
'ishq karte ho to itnā na ehtiyāt karo
badan-shanās hai duniyā ye dhyān meñ rakhnā
yahāñ pe dil nahīñ chehre dikhā ke baat karo
maqām maanā judā haiñ magar Dagar to nahīñ
safar to aap jān-e-jāñ hamāre saath karo
amānateñ haiñ laboñ kī nigāh meñ kyoñ rakhnā
maiñ huuñ hāzir janāb khul ke savālāt karo
shahanshāh ḳhatm ho chukā hai madhumās terā
'avām baaT johtī hai karāmāt karo
chandni shab mein sartaj mulaqat karo
'ishq karte ho to itna na ehtiyat karo
badan-shanas hai duniya ye dhyan mein rakhna
yahan pe dil nahin chehre dikha ke baat karo
maqam mana juda hain magar Dagar to nahin
safar to aap jaan-e-jaan hamare sath karo
amanaten hain labon ki nigah mein kyon rakhna
main hun hazir janab khul ke sawalat karo
shahanshah KHatm ho chuka hai madhumas tera
'awam baT johti hai karamat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.