charagh jalta hua tha hawa ko de aaya
charāġh jaltā huā thā havā ko de aayā
maiñ apnā dil ye kisī bevafā ko de aayā
chakor kahtā hai mujh se ki us kā chāñd churā
koī luTerā jā ke kahkashāñ ko de aayā
qabr-nashīn ho ke boltā hai pīr-e-muġhāñ
vo ḳhud hī ruuh ko vāpas ḳhudā ko de aayā
'ishq aisā huā taarī ki khol kar piñjra
sayyād 'andalīb āsmāñ ko de aayā
gulāb qaid achkanoñ meñ bādshāh ne rakhā
na jaane kaun thā ḳhushbū fazā ko de aayā
charagh jalta hua tha hawa ko de aaya
main apna dil ye kisi bewafa ko de aaya
chakor kahta hai mujh se ki us ka chand chura
koi luTera ja ke kahkashan ko de aaya
qabr-nashin ho ke bolta hai pir-e-mughan
wo KHud hi ruh ko wapas KHuda ko de aaya
'ishq aisa hua tari ki khol kar pinjra
sayyaad 'andalib aasman ko de aaya
gulab qaid achkanon mein baadshah ne rakha
na jaane kaun tha KHushbu faza ko de aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.