choT halki si zaKHm gahra sa
choT halkī sī zaḳhm gahrā sā
ġham kā dariyā lagā hai Thahrā sā
muḳhtalif dard muḳhtalif lazzat
koī sāgar sā koī sahrā sā
ḳhvāb dekhā thā ye bhī ulfat meñ
raat chāñdī sī din sunahrā sā
mujh ko insāf to milā andhā
jo ḳhudā bhī milā to bahrā sā
zindagī kī kitāb bhī kaise
jild moTī varaq ikahrā sā
choT halki si zaKHm gahra sa
gham ka dariya laga hai Thahra sa
muKHtalif dard muKHtalif lazzat
koi sagar sa koi sahra sa
KHwab dekha tha ye bhi ulfat mein
raat chandi si din sunahra sa
mujh ko insaf to mila andha
jo KHuda bhi mila to bahra sa
zindagi ki kitab bhi kaise
jild moTi waraq ikahra sa
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.