Dali se bichhDa ek patta hath laga
Daalī se bichhḌā ik pattā haath lagā
mausam kī ranjish kā qissa haath lagā
jis ne mere bachpan kī padchāp sunī
apne ghar kā aisā konā haath lagā
mujh se akasr merī miTTī kahtī hai
tujh ko tan kā khoTā sikka haath lagā
pūchh havā se jo rotī hai ban-ban meñ
kyā koī kāñToñ kā paudhā haath lagā
apne bhītar apnā dushman jab pā.ūñ
samjhūñgā ik sachchā rishta haath lagā
Dali se bichhDa ek patta hath laga
mausam ki ranjish ka qissa hath laga
jis ne mere bachpan ki padchap suni
apne ghar ka aisa kona hath laga
mujh se akasr meri miTTi kahti hai
tujh ko tan ka khoTa sikka hath laga
puchh hawa se jo roti hai ban-ban mein
kya koi kanTon ka paudha hath laga
apne bhitar apna dushman jab paun
samjhunga ek sachcha rishta hath laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.