dard jab tak sawalat karte rahe
dard jab tak savālāt karte rahe
ham daraḳhtoñ ke sañg baat karte rahe
zindagī se milīñ gāliyāñ aur ham
roz us se mulāqāt karte rahe
log sote rahe chādareñ taan kar
jang ham se ḳhayālāt karte rahe
ham na bole kabhī vo na samjhe kabhī
be-vajah ḳhūn-e-jazbāt karte rahe
raushnī vo tavā.if ki jis ke liye
ḳhush-numā umr ko raat karte rahe
be-vajah ro diye be-vajah hañs diye
raat din ye ḳhurāfāt karte rahe
ham jhuke to nahīñ ye tamannā magar
ik zamāne se hālāt karte rahe
dard jab tak sawalat karte rahe
hum daraKHton ke sang baat karte rahe
zindagi se milin galiyan aur hum
roz us se mulaqat karte rahe
log sote rahe chadaren tan kar
jang hum se KHayalat karte rahe
hum na bole kabhi wo na samjhe kabhi
be-wajah KHun-e-jazbaat karte rahe
raushni wo tawaif ki jis ke liye
KHush-numa umr ko raat karte rahe
be-wajah ro diye be-wajah hans diye
raat din ye KHurafat karte rahe
hum jhuke to nahin ye tamanna magar
ek zamane se haalat karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.