daricha hai na us mein koi dar hai
darīcha hai na us meñ koī dar hai
to kyā vo shaḳhs ik paanī kā ghar hai
na jaane kaun sī ye rahguzar hai
safar andar safar andar safar hai
koī aaseb kyā mujh ko Darā.e
mujhe to apne hī saa.e kā Dar hai
fazā māyūs aur sūraj hai gum-sum
nigāhoñ meñ ye kaisī dopahar hai
nadī kā rañg niilā paḌ chukā hai
ghaTā tere hirdai meñ ho zahar hai
jo lenā chāhe mujh se chhāñv le le
merā astitv kyā hai ik shajar hai
daricha hai na us mein koi dar hai
to kya wo shaKHs ek pani ka ghar hai
na jaane kaun si ye rahguzar hai
safar andar safar andar safar hai
koi aaseb kya mujh ko Darae
mujhe to apne hi sae ka Dar hai
faza mayus aur suraj hai gum-sum
nigahon mein ye kaisi dopahar hai
nadi ka rang nila paD chuka hai
ghaTa tere hirdai mein ho zahar hai
jo lena chahe mujh se chhanw le le
mera astitw kya hai ek shajar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.