de sako to kahun aur kya chahiye
de sako to kahūñ aur kyā chāhiye
saañs ghuTtī hai taaza havā chāhiye
bhiiḌ meñ rāsta mil bhī jaa.e to kyā
bhiiḌ ko bhī to ḳhud rāsta chāhiye
is zamāne meñ insān miltā nahīñ
kyā ġhazab hai tumheñ devtā chāhiye
merā kirdār-o-īmāñ salāmat rahe
is se baḌh ke mujhe aur kyā chāhiye
ai 'mahender' prathāoñ se haT kar likho
ye ġhazal hai ise kuchh nayā chāhiye
de sako to kahun aur kya chahiye
sans ghuTti hai taza hawa chahiye
bhiD mein rasta mil bhi jae to kya
bhiD ko bhi to KHud rasta chahiye
is zamane mein insan milta nahin
kya ghazab hai tumhein dewta chahiye
mera kirdar-o-iman salamat rahe
is se baDh ke mujhe aur kya chahiye
ai 'mahender' prathaon se haT kar likho
ye ghazal hai ise kuchh naya chahiye
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 59)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.