dekhiye na tez kitni umr ki raftar hai
dekhiye nā tez kitnī umr kī raftār hai
zindagī meñ chain kam aur farz kī bhar-mār hai
be-vajah kī raar se kitnā laḌe āḳhir koī
ek mushkil se bache to dūsrī tayyār hai
ho parāyā gar koī to dushmanī manzūr hai
aaj apnoñ se laḌe to jiit meñ bhī haar hai
ab jahāñ meñ ḳhuun ke rishte kahāñ baaqī rahe
ḳhuun ke rishtoñ meñ bahtī ḳhuun kī ab dhaar hai
bol mīThe bhī kahāñ ab boltā koī yahāñ
har zabāñ pe aaj keval saañp kī phunkār hai
dil dukhāyā thā jinhoñne vo parā.e to na the
aaj kaise maan leñ ki un ko ham se pyaar hai
koī bhī aisā nahīñ jo maut se bach jā.egā
āḳhirī manzil sabhī kī maut ke us paar hai
dekhiye na tez kitni umr ki raftar hai
zindagi mein chain kam aur farz ki bhar-mar hai
be-wajah ki rar se kitna laDe aaKHir koi
ek mushkil se bache to dusri tayyar hai
ho paraya gar koi to dushmani manzur hai
aaj apnon se laDe to jit mein bhi haar hai
ab jahan mein KHun ke rishte kahan baqi rahe
KHun ke rishton mein bahti KHun ki ab dhaar hai
bol miThe bhi kahan ab bolta koi yahan
har zaban pe aaj kewal sanp ki phunkar hai
dil dukhaya tha jinhonne wo parae to na the
aaj kaise man len ki un ko hum se pyar hai
koi bhi aisa nahin jo maut se bach jaega
aaKHiri manzil sabhi ki maut ke us par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.