dhup mein hai karwan tere baghair
dhuup meñ hai kārvāñ tere baġhair
ab na hogā ye ravāñ tere baġhair
tū gayā apnī ḳhushī ye hai zarūr
chhā gayā mātam yahāñ tere baġhair
kaun ruk kar hai gayā rūThī bahār
zindagī ke darmiyāñ tere baġhair
qahqahe jhūThe latīfe baar baar
āzmā.ūñ maiñ kahāñ tere baġhair
tū gayā TuuTā mirā amn-o-amān
'jain' hai ḳhālī makāñ tere baġhair
dhup mein hai karwan tere baghair
ab na hoga ye rawan tere baghair
tu gaya apni KHushi ye hai zarur
chha gaya matam yahan tere baghair
kaun ruk kar hai gaya ruThi bahaar
zindagi ke darmiyan tere baghair
qahqahe jhuThe latife bar bar
aazmaun main kahan tere baghair
tu gaya TuTa mera amn-o-aman
'jain' hai KHali makan tere baghair
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 61)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.