Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din qayamat ke Tal nahin sakte

Om Prakash Chaturvedi Parag

din qayamat ke Tal nahin sakte

Om Prakash Chaturvedi Parag

MORE BYOm Prakash Chaturvedi Parag

    din qayāmat ke Tal nahīñ sakte

    ḳhud ko ab aur chhal nahīñ sakte

    itne kaale hue añdheroñ meñ

    raushnī meñ nikal nahīñ sakte

    apne ġham meñ the gal ga.e lekin

    tere sāñche meñ Dhal nahīñ sakte

    paañv bahke jo apne āñgan meñ

    tere dar par sañbhal nahīñ sakte

    ab shikāyat 'parāg' mat karnā

    yuuñ muqaddar badal nahīñ sakte

    din qayamat ke Tal nahin sakte

    KHud ko ab aur chhal nahin sakte

    itne kale hue andheron mein

    raushni mein nikal nahin sakte

    apne gham mein the gal gae lekin

    tere sanche mein Dhal nahin sakte

    panw bahke jo apne aangan mein

    tere dar par sanbhal nahin sakte

    ab shikayat 'parag' mat karna

    yun muqaddar badal nahin sakte

    Source :
    • Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 57)
    • Author : Dixit Dankauri
    • Publication : Vani Prakashan (2003)
    • Edition : 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now