ek guDiya ki kai kaTh-putliyon mein jaan hai
ek guḌiyā kī ka.ī kaTh-putliyoñ meñ jaan hai
aaj shā.ir ye tamāsha dekh kar hairān hai
ḳhaas saḌkeñ band haiñ tab se marammat ke liye
ye hamāre vaqt kī sab se sahī pahchān hai
ek būḌhā aadmī hai mulk meñ yā yuuñ kaho
is añdherī koTharī meñ ek raushan-dān hai
maslahat-āmez hote haiñ siyāsat ke qadam
tū na samjhegā siyāsat tū abhī insān hai
is qadar pābandī-e-mazhab ki sadqe aa chuke
jab se āzādī milī hai mulk meñ ramzān hai
kal numā.ish meñ milā vo chīthḌe pahne hue
maiñ ne pūchhā naam to bolā ki hindustān hai
ek guDiya ki kai kaTh-putliyon mein jaan hai
aaj shair ye tamasha dekh kar hairan hai
KHas saDken band hain tab se marammat ke liye
ye hamare waqt ki sab se sahi pahchan hai
ek buDha aadmi hai mulk mein ya yun kaho
is andheri koThari mein ek raushan-dan hai
maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam
tu na samjhega siyasat tu abhi insan hai
is qadar pabandi-e-mazhab ki sadqe aa chuke
jab se aazadi mili hai mulk mein ramzan hai
kal numaish mein mila wo chithDe pahne hue
main ne puchha nam to bola ki hindustan hai
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 57)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.