falsafe KHud-kushi nahin karte
falsafe ḳhud-kushī nahīñ karte
log hī zindagī nahīñ karte
vaqt ke saath chalne vaale to
umr kī baat hī nahīñ karte
jis se ho kar zamāne guzre hoñ
band aisī galī nahīñ karte
rang ḳhākoñ se bartaraf rah kar
koī jādūgarī nahīñ karte
taazā patte purāne pattoñ se
sīdhe muñh baat hī nahīñ karte
ye alag baat be sazā haiñ ham
kyuuñ kahīñ jurm hī nahīñ karte
aise bachche jo zid na karte hoñ
ḳhud ko mazbūt bhī nahīñ karte
falsafe KHud-kushi nahin karte
log hi zindagi nahin karte
waqt ke sath chalne wale to
umr ki baat hi nahin karte
jis se ho kar zamane guzre hon
band aisi gali nahin karte
rang KHakon se bartaraf rah kar
koi jadugari nahin karte
taza patte purane patton se
sidhe munh baat hi nahin karte
ye alag baat be saza hain hum
kyun kahin jurm hi nahin karte
aise bachche jo zid na karte hon
KHud ko mazbut bhi nahin karte
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.