haalat-e-jism surat-e-jaan aur bhi KHarab
hālāt-e-jism sūrat-e-jāñ aur bhī ḳharāb
chāroñ taraf ḳharāb yahāñ aur bhī ḳharāb
nazroñ meñ aa rahe haiñ nazāre bahut bure
hoñToñ meñ aa rahī hai zabāñ aur bhī ḳharāb
pāband ho rahī hai rivāyat se raushnī
chimnī meñ ghuT rahā hai dhuāñ aur bhī ḳharāb
mūrat sañvārne meñ bigaḌtī chalī ga.ī
pahle se ho gayā hai jahāñ aur bhī ḳharāb
raushan hue charāġh to āñkheñ nahīñ rahīñ
andhoñ ko raushnī kā gumāñ aur bhī ḳharāb
aage nikal ga.e haiñ ghisaTte hue qadam
rāhoñ meñ rah ga.e haiñ nishāñ aur bhī ḳharāb
sochā thā un ke desh meñ mahñgī hai zindagī
par zindagī kā bhaav vahāñ aur bhī ḳharāb
haalat-e-jism surat-e-jaan aur bhi KHarab
chaaron taraf KHarab yahan aur bhi KHarab
nazron mein aa rahe hain nazare bahut bure
honTon mein aa rahi hai zaban aur bhi KHarab
paband ho rahi hai riwayat se raushni
chimni mein ghuT raha hai dhuan aur bhi KHarab
murat sanwarne mein bigaDti chali gai
pahle se ho gaya hai jahan aur bhi KHarab
raushan hue charagh to aankhen nahin rahin
andhon ko raushni ka guman aur bhi KHarab
aage nikal gae hain ghisaTte hue qadam
rahon mein rah gae hain nishan aur bhi KHarab
socha tha un ke desh mein mahngi hai zindagi
par zindagi ka bhaw wahan aur bhi KHarab
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 48)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.