hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baiThe hain
hai jo kuchh paas apne sab liye sarkār baiThe haiñ
jo chāheñ aap le jaa.eñ sar-e-bāzār baiThe haiñ
manāo jashn manzil par pahuñch jaane kā tum lekin
ḳhabar un kī bhī lo yaaro jo himmat haar baiThe haiñ
tū ab us shahr bhī jā kar sukūñ pā.egā kyā āḳhir
vahāñ bhī kaun se ai dil tire ġham-ḳhvār baiThe haiñ
na tū aayā na yaad aa.ī tirī ik lambe arse se
hazāroñ kaam hone par bhī ham bekār baiThe haiñ
inhīñ se naam hai terā na bhuul itnā tū ai saaqī
tire mai-ḳhāne meñ ab bhī kuchh ik ḳhuddār baiThe haiñ
ga.e vo vaqt kahte the ki itne dost haiñ apne
muqaddar jāniye achchhā agar do-chār baiThe haiñ
kisī bhī vaqt aa saktā hai ab paiġhām bas us kā
sunā jis vaqt se ham ne 'salil' tayyār baiThe haiñ
hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baiThe hain
jo chahen aap le jaen sar-e-bazar baiThe hain
manao jashn manzil par pahunch jaane ka tum lekin
KHabar un ki bhi lo yaro jo himmat haar baiThe hain
tu ab us shahr bhi ja kar sukun paega kya aaKHir
wahan bhi kaun se ai dil tere gham-KHwar baiThe hain
na tu aaya na yaad aai teri ek lambe arse se
hazaron kaam hone par bhi hum bekar baiThe hain
inhin se nam hai tera na bhul itna tu ai saqi
tere mai-KHane mein ab bhi kuchh ek KHuddar baiThe hain
gae wo waqt kahte the ki itne dost hain apne
muqaddar jaaniye achchha agar do-chaar baiThe hain
kisi bhi waqt aa sakta hai ab paigham bas us ka
suna jis waqt se hum ne 'salil' tayyar baiThe hain
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.