hum apne-ap se ghafil rahe hain
ham apne-āp se ġhāfil rahe haiñ
bichhaḌte vaqt ḳhud se mil rahe haiñ
na baḳhshegī hamārī ruuh ham ko
ham apne jism ke qātil rahe haiñ
vo gul haiñ ham ki jis Tahnī se TuuTe
usī Tahnī pe phir se khil rahe haiñ
ham us kashtī ko kaise Dūbne deñ
ki jis kashtī ke ham sāhil rahe haiñ
haiñ paḌhne meñ bahut āsāñ ham alhaḌ
samajhne meñ zarā mushkil rahe haiñ
hum apne-ap se ghafil rahe hain
bichhaDte waqt KHud se mil rahe hain
na baKHshegi hamari ruh hum ko
hum apne jism ke qatil rahe hain
wo gul hain hum ki jis Tahni se TuTe
usi Tahni pe phir se khil rahe hain
hum us kashti ko kaise Dubne den
ki jis kashti ke hum sahil rahe hain
hain paDhne mein bahut aasan hum alhaD
samajhne mein zara mushkil rahe hain
- Book : Gazal Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.