humne mana ki mahka ke ghar rakh diya
ham ne maanā ki mahkā ke ghar rakh diyā
kitne phūloñ kā sar kaaT kar rakh diyā
tum mire paas ho raat hairān hai
chāñd kis ne idhar kā udhar rakh diyā
ek lamhe ko sūraj Thahar sā gayā
haath us ne mire haath par rakh diyā
de ke kastūrī hirnoñ kī taqdīr meñ
pyaas kā ek lambā safar rakh diyā
tum ne ye kyā kiyā battiyoñ kī jagah
in charāġhoñ meñ āñdhī kā Dar rakh diyā
apnā chehrā na poñchhā gayā aap se
ā.īna be-vajah toḌ kar rakh diyā
āḳhirī faisla vaqt ke haath hai
sach ne talvār ke aage sar rakh diyā
dene vaale ye hassās nāzuk sā dil
mere siine meñ kyuuñ ḳhaas kar rakh diyā
tum 'uday' chiiz kyā ho ki is pyaar ne
devtāoñ kā dil toḌ kar rakh diyā
hum ne mana ki mahka ke ghar rakh diya
kitne phulon ka sar kaT kar rakh diya
tum mere pas ho raat hairan hai
chand kis ne idhar ka udhar rakh diya
ek lamhe ko suraj Thahar sa gaya
hath us ne mere hath par rakh diya
de ke kasturi hirnon ki taqdir mein
pyas ka ek lamba safar rakh diya
tum ne ye kya kiya battiyon ki jagah
in charaghon mein aandhi ka Dar rakh diya
apna chehra na ponchha gaya aap se
aaina be-wajah toD kar rakh diya
aaKHiri faisla waqt ke hath hai
sach ne talwar ke aage sar rakh diya
dene wale ye hassas nazuk sa dil
mere sine mein kyun KHas kar rakh diya
tum 'uday' chiz kya ho ki is pyar ne
dewtaon ka dil toD kar rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.