humne tanhai mein zanjir se baaten ki hain
ham ne tanhā.ī meñ zanjīr se bāteñ kī haiñ
apnī soī huī taqdīr se bāteñ kī haiñ
tere dīdār kī kyā ḳhaak tamannā hogī
zindagī bhar tirī tasvīr se bāteñ kī haiñ
maut ke Dar se meñ ḳhāmosh rahūñ la.anat hai
jabki jallād kī shamshīr se bāteñ kī haiñ
qais kī lailā yā farhād kī shīrīñ kah lo
ham nahīñ rāñjhā magar hiir se bāteñ kī haiñ
‘rang’ kā rang zamāne ne bahut dekhā hai
kyā kabhī aap ne ‘balbīr’ se bāteñ kī haiñ
hum ne tanhai mein zanjir se baaten ki hain
apni soi hui taqdir se baaten ki hain
tere didar ki kya KHak tamanna hogi
zindagi bhar teri taswir se baaten ki hain
maut ke Dar se mein KHamosh rahun lanat hai
jabki jallad ki shamshir se baaten ki hain
qais ki laila ya farhad ki shirin kah lo
hum nahin ranjha magar hir se baaten ki hain
‘rang’ ka rang zamane ne bahut dekha hai
kya kabhi aap ne ‘balbir’ se baaten ki hain
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.