hum par dukh ka parbat TuTa tab humne do chaar kahe
hum par dukh ka parbat TuTa tab humne do chaar kahe
Bal Swaroop Rahi
MORE BYBal Swaroop Rahi
ham par dukh kā parbat TuuTā tab ham ne do chaar kahe
us pe bhalā kyā biitī hogī jis ne sher hazār kahe
hameñ zarā ban-vās kāTnā paḌā agar kuchh din to kyā
us kī socho jo jangal ko hī apnā ghar-bār kahe
sīdhe sachche logoñ ke dam par hī duniyā chaltī hai
ham kaise is baat ko māneñ kahne ko sansār kahe
apnā apnā maal sajā.e sab bāzār meñ aa baiThe
koī ise kahe majbūrī koī kārobār kahe
sher vahī haiñ sher jo 'rāhī' likkhe ḳhuun yā aañsū se
baaqī to bas allam-gallam kahe magar bekār kahe
hum par dukh ka parbat TuTa tab hum ne do chaar kahe
us pe bhala kya biti hogi jis ne sher hazar kahe
hamein zara ban-was kaTna paDa agar kuchh din to kya
us ki socho jo jangal ko hi apna ghar-bar kahe
sidhe sachche logon ke dam par hi duniya chalti hai
hum kaise is baat ko manen kahne ko sansar kahe
apna apna mal sajae sab bazar mein aa baiThe
koi ise kahe majburi koi karobar kahe
sher wahi hain sher jo 'rahi' likkhe KHun ya aansu se
baqi to bas allam-gallam kahe magar bekar kahe
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 65)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.