hamara haal kuchh behtar nahin hai
hamārā haal kuchh behtar nahīñ hai
ki apnā ghar bhī apnā ghar nahīñ hai
ġhazal kahne ko kah saktā huuñ lekin
abhī pesh-e-nazar dilbar nahīñ hai
diyā hai dene vaale ne bahut kuchh
sukūn-e-dil magar pal-bhar nahīñ hai
javāb-e-gardish-e-ayyām hai ye
nahīñ hai haath meñ sāġhar nahīñ hai
kisī qābil nahīñ hai 'ashk' phir bhī
tumhārī raah kā patthar nahīñ hai
hamara haal kuchh behtar nahin hai
ki apna ghar bhi apna ghar nahin hai
ghazal kahne ko kah sakta hun lekin
abhi pesh-e-nazar dilbar nahin hai
diya hai dene wale ne bahut kuchh
sukun-e-dil magar pal-bhar nahin hai
jawab-e-gardish-e-ayyam hai ye
nahin hai hath mein saghar nahin hai
kisi qabil nahin hai 'ashk' phir bhi
tumhaari rah ka patthar nahin hai
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.