har nafs kuchh majra aisa hua
har nafs kuchh mājrā aisā huā
ik bharam TuuTā to ik paidā huā
ik kalī hañstī huī gulzār meñ
kah rahī hai phuul ab būḌhā huā
jism mil jaanā hī kyā kaafī nahīñ
jaan o dil se kaun kab kis kā huā
ab koī chārā nahīñ is ke sivā
ye kaheñ ki jo huā achchhā huā
soch kar us ko hañsānā dosto
ro diyā kartā hai vo hañstā huā
manzil-e-taskīn tak pahuñchūñgā maiñ
rahguzār-e-dard se hotā huā
har nafs kuchh majra aisa hua
ek bharam TuTa to ek paida hua
ek kali hansti hui gulzar mein
kah rahi hai phul ab buDha hua
jism mil jaana hi kya kafi nahin
jaan o dil se kaun kab kis ka hua
ab koi chaara nahin is ke siwa
ye kahen ki jo hua achchha hua
soch kar us ko hansana dosto
ro diya karta hai wo hansta hua
manzil-e-taskin tak pahunchunga main
rahguzar-e-dard se hota hua
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.