is nadi ki dhaar mein ThanDi hawa aati to hai
is nadī kī dhaar meñ ThanDī havā aatī to hai
naav jarjar hī sahī lahroñ se Takrātī to hai
ek chingārī kahīñ se DhūñDh laao dosto
is diye meñ tel se bhīgī huī baatī to hai
ek khanDar ke hridai sī ek jañglī phuul sī
aadmī kī piir gūñgī hī sahī gaatī to hai
ek chādar sāñjh ne saare nagar par Daal dī
ye añdhere kī saḌak us bhor tak jaatī to hai
nirvachan maidān meñ teTī huī hai jo nadī
pattharoñ se oT meñ jo jā ke batiyāti to hai
dukh nahīñ koī ki ab uplabdhiyoñ ke naam par
aur kuchh ho yā na ho ākāsh sī chhātī to hai
is nadi ki dhaar mein ThanDi hawa aati to hai
naw jarjar hi sahi lahron se Takraati to hai
ek chingari kahin se DhunDh lao dosto
is diye mein tel se bhigi hui baati to hai
ek khanDar ke hridai si ek jangli phul si
aadmi ki pir gungi hi sahi gati to hai
ek chadar sanjh ne sare nagar par Dal di
ye andhere ki saDak us bhor tak jati to hai
nirwachan maidan mein teTi hui hai jo nadi
pattharon se oT mein jo ja ke batiyati to hai
dukh nahin koi ki ab uplabdhiyon ke nam par
aur kuchh ho ya na ho aakash si chhati to hai
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 16)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.