ishq mein kya bataen ki donon kis qadar choT khae hue hain
ishq mein kya bataen ki donon kis qadar choT khae hue hain
Akhlaq Saghari
MORE BYAkhlaq Saghari
ishq meñ kyā batā.eñ ki donoñ kis qadar choT khaa.e hue haiñ
maut ne un ko maarā hai aur ham zindagī ke satā.e hue haiñ
ek aañsū na palkoñ se Tapke ye vafā kā taqāza hai varna
dosto ham bhī āñkhoñ meñ apnī gañgā jamunā chhupā.e hue haiñ
dekh saaqī tere mai-kade kā kitnā pahuñchā huā rind huuñ maiñ
jitne aa.e haiñ mayyat meñ merī sab ke sab hī lagā.e hue haiñ
ai lahad apnī miTTī se kah de daaġh lagne na paa.e kafan ko
aaj hī ham ne badle haiñ kapḌe aaj hī ham nahā.e hue haiñ
us ne shādī kā joḌā pahan kar sirf chūmā thā mere kafan ko
bas usī din se jannat meñ hūreñ mujh ko dūlhā banā.e hue haiñ
ġham to ye hai ki jin shā.iroñ kī baat bhī zindagī bhar na pūchhī
ba.ad marne ke 'aḳhlāq' un ko log sar pe uThā.e hue haiñ
ishq mein kya bataen ki donon kis qadar choT khae hue hain
maut ne un ko mara hai aur hum zindagi ke satae hue hain
ek aansu na palkon se Tapke ye wafa ka taqaza hai warna
dosto hum bhi aankhon mein apni ganga jamuna chhupae hue hain
dekh saqi tere mai-kade ka kitna pahuncha hua rind hun main
jitne aae hain mayyat mein meri sab ke sab hi lagae hue hain
ai lahad apni miTTi se kah de dagh lagne na pae kafan ko
aaj hi hum ne badle hain kapDe aaj hi hum nahae hue hain
us ne shadi ka joDa pahan kar sirf chuma tha mere kafan ko
bas usi din se jannat mein huren mujh ko dulha banae hue hain
gham to ye hai ki jin shairon ki baat bhi zindagi bhar na puchhi
baad marne ke 'aKHlaq' un ko log sar pe uThae hue hain
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.