jaan lene pe apna koi tul gaya
jaan lene pe apnā koī tul gayā
jaane kaise havā meñ zahar ghul gayā
kyā milā tum ko in sāzishoñ se bhalā
ḳhud tumhāre hī chehre kā rañg dhul gayā
bheḌ kī khaal meñ bheḌiyoñ kā shahar
kaaT leñge agar haath bhī chhil gayā
roz murjhā rahe haiñ mire bāġh-e-gul
dekhiye aaj phir kaun sā gul gayā
ek manzil ke pīchhe bhaTaknā bhī kyā
rāsta dekh phir se nayā khul gayā
jaan lene pe apna koi tul gaya
jaane kaise hawa mein zahar ghul gaya
kya mila tum ko in sazishon se bhala
KHud tumhaare hi chehre ka rang dhul gaya
bheD ki khaal mein bheDiyon ka shahar
kaT lenge agar hath bhi chhil gaya
roz murjha rahe hain mere bagh-e-gul
dekhiye aaj phir kaun sa gul gaya
ek manzil ke pichhe bhaTakna bhi kya
rasta dekh phir se naya khul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.