jab bhi is shahr mein kamre se main bahar nikla
jab bhī is shahr meñ kamre se maiñ bāhar niklā
mere svāgat ko har ik jeb se ḳhanjar niklā
mere hoñToñ pe duā us kī zabāñ pe gaalī
jis ke andar jo chhupā thā vahī bāhar niklā
zindagī bhar maiñ jise dekh kar itrātā rahā
merā sab ruup vo miTTī kā dharohar niklā
rūkhī roTī bhī sadā baañT ke jis ne khaa.ī
vo bhikārī to shahanshāhoñ se baḌh kar niklā
kyā ajab hai yahī insān kā dil bhī 'nīraj'
mom niklā ye kabhī to kabhī patthar niklā
jab bhi is shahr mein kamre se main bahar nikla
mere swagat ko har ek jeb se KHanjar nikla
mere honTon pe dua us ki zaban pe gali
jis ke andar jo chhupa tha wahi bahar nikla
zindagi bhar main jise dekh kar itraata raha
mera sab rup wo miTTi ka dharohar nikla
rukhi roTi bhi sada banT ke jis ne khai
wo bhikari to shahanshahon se baDh kar nikla
kya ajab hai yahi insan ka dil bhi 'niraj'
mom nikla ye kabhi to kabhi patthar nikla
- Book : Khuvabon Ka Karvan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.