jab lafz thak gae to sahaara nahin diya
jab lafz thak ga.e to sahārā nahīñ diyā
ḳhāmoshiyoñ ne saath hamārā nahīñ diyā
yuuñ to falak ne chāñd mire naam kar diyā
jis kī talāsh thī vo sitārā nahīñ diyā
ik shaḳhs pūchhtā rahā bastī meñ der tak
lekin pata kisī ne hamārā nahīñ diyā
gahre samundaroñ kī fazā raas aa ga.ī
achchhā kiyā ki dil ko kinārā nahīñ diyā
jab lafz thak gae to sahaara nahin diya
KHamoshiyon ne sath hamara nahin diya
yun to falak ne chand mere nam kar diya
jis ki talash thi wo sitara nahin diya
ek shaKHs puchhta raha basti mein der tak
lekin pata kisi ne hamara nahin diya
gahre samundaron ki faza ras aa gai
achchha kiya ki dil ko kinara nahin diya
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.