Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis raste bhi jaana hai

Ravi Kumar

jis raste bhi jaana hai

Ravi Kumar

MORE BYRavi Kumar

    jis raste bhī jaanā hai

    apnā bojh uThānā hai

    koī kisī ke saath nahīñ

    ye dil ko samjhānā hai

    saare raste raushan haiñ

    āñkhoñ meñ vīrāna hai

    ḳhālī haath masāfat meñ

    kyā khonā kyā paanā hai

    raat kabhī yuuñ lagtā hai

    sub.h talak mar jaanā hai

    jis raste bhi jaana hai

    apna bojh uThana hai

    koi kisi ke sath nahin

    ye dil ko samjhana hai

    sare raste raushan hain

    aankhon mein virana hai

    KHali hath masafat mein

    kya khona kya pana hai

    raat kabhi yun lagta hai

    subh talak mar jaana hai

    Source :
    • Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now