jitna bahar sanwar rahe hain hum
jitnā bāhar sañvar rahe haiñ ham
utne andar bikhar rahe haiñ ham
duniyā-dārī meñ kuchh patā na chale
jī rahe haiñ ki mar rahe haiñ ham
pahle Darte the apne vālid se
aaj bachchoñ se Dar rahe haiñ ham
ghar ke āñgan meñ amn kī ḳhātir
ek dīvār kar rahe haiñ ham
dauḌ duniyā kī is qadar jaise
sīḌhiyāñ chaḌh utar rahe haiñ ham
nasr meñ Dūbne ko nikle the
aur ġhazal meñ ubhar rahe haiñ ham
jitna bahar sanwar rahe hain hum
utne andar bikhar rahe hain hum
duniya-dari mein kuchh pata na chale
ji rahe hain ki mar rahe hain hum
pahle Darte the apne walid se
aaj bachchon se Dar rahe hain hum
ghar ke aangan mein amn ki KHatir
ek diwar kar rahe hain hum
dauD duniya ki is qadar jaise
siDhiyan chaDh utar rahe hain hum
nasr mein Dubne ko nikle the
aur ghazal mein ubhar rahe hain hum
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.