jitna gahra kuan hai andar tak
jitnā gahrā kuaañ hai andar tak
pyaas utnī nihāñ hai andar tak
qatre qatre ko jaañ tarastī hai
vo sulagtā samāñ hai andar tak
kyuuñ na dhartī ko pañkh par rakh luuñ
jab khulā āsmāñ hai andar tak
DhūñDhne se makīñ nahīñ miltā
bas makāñ hī makāñ hai andar tak
jis jagah thī ḳhulūs kī bastī
ek khanDar vahāñ hai andar tak
chīḳh kar kah rahī hai ḳhāmoshī
sher ek be-zabāñ hai andar tak
jitna gahra kuan hai andar tak
pyas utni nihan hai andar tak
qatre qatre ko jaan tarasti hai
wo sulagta saman hai andar tak
kyun na dharti ko pankh par rakh lun
jab khula aasman hai andar tak
DhunDhne se makin nahin milta
bas makan hi makan hai andar tak
jis jagah thi KHulus ki basti
ek khanDar wahan hai andar tak
chiKH kar kah rahi hai KHamoshi
sher ek be-zaban hai andar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.