kabhi gheri gai hai soch bhi kya
kabhī gherī ga.ī hai soch bhī kyā
samundar kī karoge chaukasī kyā
machalte har ghaḌī armān dil meñ
dharī jo jism par vo sādgī kyā
khaḌe haiñ aaj sab rishte ġharaz par
vagarna terī merī dostī kyā
bahū to le ga.ī beTe ko ghar se
so ab khiḌkī se būḌhī jhāñktī kyā
bhikārī kah rahā hai dar pe mere
nahīñ hai ghar meñ koī aadmī kyā
kabhi gheri gai hai soch bhi kya
samundar ki karoge chaukasi kya
machalte har ghaDi arman dil mein
dhari jo jism par wo sadgi kya
khaDe hain aaj sab rishte gharaz par
wagarna teri meri dosti kya
bahu to le gai beTe ko ghar se
so ab khiDki se buDhi jhankti kya
bhikari kah raha hai dar pe mere
nahin hai ghar mein koi aadmi kya
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.