kabhi peDon ko bhi chhuTTi diya kar
kabhī peḌoñ ko bhī chhuTTī diyā kar
havā tū bhī kabhī paidal chalā kar
maiñ sang-e-mīl ho ke rah na jā.ūñ
safar kī gard ko apnā banā kar
baġhāvat dum hilātī aa ga.ī phir
ise chaltā karo kuchh de dilā kar
saḌak par jab kabhī chalnā ho tujh ko
kaleja haath meñ le kar chalā kar
maiñ kyā sūraj nayā paidā karūñgā
baḌā jo bhī banā hai zulm Dhā kar
nazar kī ḳhairiyat gar chāhtā ho
ujāle se añdhere meñ milā kar
gaḌhī hai vaqt kī tasvīr maiñ ne
samay kī aañch meñ sapne galā kar
ḳharāTe bhar rahe the raat ko tum
maiñ jab aa.ī thī bachche ko sulā kar
kabhi peDon ko bhi chhuTTi diya kar
hawa tu bhi kabhi paidal chala kar
main sang-e-mil ho ke rah na jaun
safar ki gard ko apna bana kar
baghawat dum hilati aa gai phir
ise chalta karo kuchh de dila kar
saDak par jab kabhi chalna ho tujh ko
kaleja hath mein le kar chala kar
main kya suraj naya paida karunga
baDa jo bhi bana hai zulm Dha kar
nazar ki KHairiyat gar chahta ho
ujale se andhere mein mila kar
gaDhi hai waqt ki taswir main ne
samay ki aanch mein sapne gala kar
KHaraTe bhar rahe the raat ko tum
main jab aai thi bachche ko sula kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.