kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye
kahāñ to tai thā charāġhāñ har ek ghar ke liye
kahāñ charāġh mayassar nahīñ shahar ke liye
yahāñ daraḳhtoñ ke saa.e meñ dhuup lagtī hai
chaleñ yahāñ se chaleñ aur umr bhar ke liye
na ho qamīz to paañv se peT Dhak leñge
ye log kitne munāsib haiñ is safar ke liye
ḳhudā nahīñ na sahī aadmī kā ḳhvāb sahī
koī hasīn nazārā to hai nazar ke liye
vo mutma.in haiñ ki patthar pighal nahīñ saktā
maiñ be-qarār huuñ āvāz meñ asar ke liye
tirā nizām hai sil de zabān-e-shā.er ko
ye ehtiyāt zarūrī hai is bahar ke liye
ji.eñ to apne baġhaicha meñ gul-muhar ke tale
mareñ to ġhair kī galiyoñ meñ gul-muhar ke liye
kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye
kahan charagh mayassar nahin shahar ke liye
yahan daraKHton ke sae mein dhup lagti hai
chalen yahan se chalen aur umr bhar ke liye
na ho qamiz to panw se peT Dhak lenge
ye log kitne munasib hain is safar ke liye
KHuda nahin na sahi aadmi ka KHwab sahi
koi hasin nazara to hai nazar ke liye
wo mutmain hain ki patthar pighal nahin sakta
main be-qarar hun aawaz mein asar ke liye
tera nizam hai sil de zaban-e-shaer ko
ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye
jien to apne baghaicha mein gul-muhar ke tale
maren to ghair ki galiyon mein gul-muhar ke liye
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.