kaise manzar samne aane lage hain
kaise manzar sāmne aane lage haiñ
gaate gaate log chillāne lage haiñ
ab to is tālāb kā paanī badal do
ye kañval ke phuul kumhlāne lage haiñ
vo salīboñ ke qarīb aa.e to ham ko
qā.ede qānūn samjhāne lage haiñ
ek qabristān meñ ghar mil rahā hai
jis meñ tah-ḳhānoñ se tah-ḳhāne lage haiñ
machhliyoñ meñ khalbalī hai ab safīne
is taraf jaane se katrāne lage haiñ
maulvī se DaañT khā kar ahl-e-maktab
phir usī āyāt ko dohrāne lage haiñ
ab na.ī tahzīb ke pesh-e-nazar ham
aadmī ko bhuun kar khāne lage haiñ
kaise manzar samne aane lage hain
gate gate log chillane lage hain
ab to is talab ka pani badal do
ye kanwal ke phul kumhlane lage hain
wo salibon ke qarib aae to hum ko
qaede qanun samjhane lage hain
ek qabristan mein ghar mil raha hai
jis mein tah-KHanon se tah-KHane lage hain
machhliyon mein khalbali hai ab safine
is taraf jaane se katrane lage hain
maulwi se DanT kha kar ahl-e-maktab
phir usi aayat ko dohrane lage hain
ab nai tahzib ke pesh-e-nazar hum
aadmi ko bhun kar khane lage hain
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 14)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.