KHair guzri ki tu nahin dil mein
ḳhair guzrī ki to nahīñ dil meñ
ab koī aarzū nahīñ dil meñ
ā.īne kā bharam bhī TuuT gayā
aks vo hū-ba-hū nahīñ dil meñ
gum huā maiñ bhī kho gayā tū bhī
ab koī justujū nahīñ dil meñ
kaun sī shai se dil muḳhātab ho
koī shai rū-ba-rū nahīñ dil meñ
mai pe mauqūf dhaḌkaneñ dil kī
ek qatra lahū nahīñ dil meñ
zikr-e-jām-o-subū to hai 'allhaḌ'
fikr-e-jām-o-subū nahīñ dil meñ
KHair guzri ki to nahin dil mein
ab koi aarzu nahin dil mein
aaine ka bharam bhi TuT gaya
aks wo hu-ba-hu nahin dil mein
gum hua main bhi kho gaya tu bhi
ab koi justuju nahin dil mein
kaun si shai se dil muKHatab ho
koi shai ru-ba-ru nahin dil mein
mai pe mauquf dhaDkanen dil ki
ek qatra lahu nahin dil mein
zikr-e-jam-o-subu to hai 'allhaD'
fikr-e-jam-o-subu nahin dil mein
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.