KHushbu si aa rahi hai idhar zafran ki
ḳhushbū sī aa rahī hai idhar za.afrān kī
khiḌkī khulī hai phir koī un ke makān kī
haare hue parind zarā uḌ ke dekh tū
aa jā.egī zamīn pe chhat āsmān kī
jyuuñ luuT leñ kahār hī dulhan kī pālkī
hālat yahī hai aaj kal hindostān kī
nīraj se baḌh ke aur dhanī kaun hai yahāñ
us ke hirdai meñ piir hai saare jahān kī
KHushbu si aa rahi hai idhar zafran ki
khiDki khuli hai phir koi un ke makan ki
haare hue parind zara uD ke dekh tu
aa jaegi zamin pe chhat aasman ki
jyun luT len kahaar hi dulhan ki palki
haalat yahi hai aaj kal hindostan ki
niraj se baDh ke aur dhani kaun hai yahan
us ke hirdai mein pir hai sare jahan ki
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 41)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.