kis mahurat mein din nikalta hai
kis mahūrat meñ din nikaltā hai
shaam tak sirf haath maltā hai
ek dhāge kī baat rakhne ko
mom kā rom rom jaltā hai
kaam chāhe zehen se chaltā hai
naam dīvāngī se chaltā hai
us kā kuchh to ilaaj karvāo
us ke vyahvār meñ saraltā hai
yaad aate haiñ sher 'rāhī' ke
dard jab shā.erī meñ Dhaltā hai
kis mahurat mein din nikalta hai
sham tak sirf hath malta hai
ek dhage ki baat rakhne ko
mom ka rom rom jalta hai
kaam chahe zehen se chalta hai
nam diwangi se chalta hai
us ka kuchh to ilaj karwao
us ke wyahwar mein saralta hai
yaad aate hain sher 'rahi' ke
dard jab shaeri mein Dhalta hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 65)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.