kisi bhi shaKH par patta nahin hai
kisī bhī shāḳh par patta nahīñ hai
magar mausam to patjhaḌ kā nahīñ hai
vo sūraj ke bahut nazdīk hai ab
parinde ko ye andāza nahīñ hai
hameñ karnī paḌegī sulh us se
sivā is ke koī rasta nahīñ hai
sañbhalne meñ lagegā vaqt ham ko
ye dukh pahle kabhī jhelā nahīñ hai
maiñ aisī bazm meñ huuñ 'kaif' jis meñ
koī mere sivā zinda nahīñ hai
kisi bhi shaKH par patta nahin hai
magar mausam to patjhaD ka nahin hai
wo suraj ke bahut nazdik hai ab
parinde ko ye andaza nahin hai
hamein karni paDegi sulh us se
siwa is ke koi rasta nahin hai
sanbhalne mein lagega waqt hum ko
ye dukh pahle kabhi jhela nahin hai
main aisi bazm mein hun 'kaif' jis mein
koi mere siwa zinda nahin hai
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.