kisi ke KHat ka bahut intizar karte hain
kisī ke ḳhat kā bahut intizār karte haiñ
hamārī chhat pe kabūtar nahīñ utarte haiñ
ḳhushī ke pyaar ke gul ke bahār ke lamhe
hameñ mile bhī to pal bhar nahīñ Thaharte haiñ
kisī taraf se bhī aaoge ham ko pāoge
hamāre ghar se sabhī rāste guzarte haiñ
ye jāntā hai samundar meñ kūdne vaalā
jo Dūbte haiñ vahī log phir ubharte haiñ
kahīñ fasād kahīñ hādse kahīñ dahshat
gharoñ se log nikalte hue bhī Darte haiñ
kisi ke KHat ka bahut intizar karte hain
hamari chhat pe kabutar nahin utarte hain
KHushi ke pyar ke gul ke bahaar ke lamhe
hamein mile bhi to pal bhar nahin Thaharte hain
kisi taraf se bhi aaoge hum ko paoge
hamare ghar se sabhi raste guzarte hain
ye jaanta hai samundar mein kudne wala
jo Dubte hain wahi log phir ubharte hain
kahin fasad kahin hadse kahin dahshat
gharon se log nikalte hue bhi Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.