koi de raha tha sada har taraf
koī de rahā thā sadā har taraf
ki bikhrā huā hai ḳhudā har taraf
hai apnī nazar meñ ḳhudā har koī
chalī hai ye kaisī havā har taraf
barasne ko haiñ ab ye āñkheñ merī
ki chhā.ī huī hai ghaTā har taraf
jo rahte yahāñ sab gunahgār haiñ
ye duniyā huī ik sazā har taraf
ujāle se dil meñ utarne lage
ajab koī manzar khulā har taraf
koi de raha tha sada har taraf
ki bikhra hua hai KHuda har taraf
hai apni nazar mein KHuda har koi
chali hai ye kaisi hawa har taraf
barasne ko hain ab ye aankhen meri
ki chhai hui hai ghaTa har taraf
jo rahte yahan sab gunahgar hain
ye duniya hui ek saza har taraf
ujale se dil mein utarne lage
ajab koi manzar khula har taraf
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 269)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.