kuchh dinon se mera aaina mujhe achchha lage
kuchh dinoñ se merā ā.īna mujhe achchhā lage
jab use dekhūñ mirā chehrā tirā chehrā lage
tere har ik bol meñ simTī hai aise ras-kathā
terā jhūTā qaul bhī ab to mujhe sachchā lage
tere nainoñ ke gagan kā maiñ kabhī panchhī banūñ
mukh tirā chandā kabhī sūraj kabhī taarā lage
zindagī ke shor jañgal meñ dukhī kī rāgnī
saath ho jaa.e tirā to ras-bharā naġhma lage
aise kājal kī lakīroñ ne sameTā rain ko
ab añdherā bhī mujhe achchhā lage ujlā lage
bin kahe aur bin sune jo ruuTh jaa.e to kabhī
saañs to chaltī rahe jiinā magar jhūTā lage
pyaar kī baazī meñ 'rāhī' haar hī to jiit hai
zindagī merī jo miTTī thī vo ab sonā lage
kuchh dinon se mera aaina mujhe achchha lage
jab use dekhun mera chehra tera chehra lage
tere har ek bol mein simTi hai aise ras-katha
tera jhuTa qaul bhi ab to mujhe sachcha lage
tere nainon ke gagan ka main kabhi panchhi banun
mukh tera chanda kabhi suraj kabhi tara lage
zindagi ke shor jangal mein dukhi ki ragni
sath ho jae tera to ras-bhara naghma lage
aise kajal ki lakiron ne sameTa rain ko
ab andhera bhi mujhe achchha lage ujla lage
bin kahe aur bin sune jo ruTh jae to kabhi
sans to chalti rahe jina magar jhuTa lage
pyar ki bazi mein 'rahi' haar hi to jit hai
zindagi meri jo miTTi thi wo ab sona lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.