mat kaho aakash mein kohra ghana hai
mat kaho ākāsh meñ kohrā ghanā hai
ye kisī kī vyakti-gat ālochnā hai
sūrya ham ne bhī nahīñ dekhā subah se
kyā karoge sūrya kā kyā dekhnā hai
is saḌak par is qadar kīchaḌ bichhī hai
har kisī kā paañv ghuTnoñ tak sana hai
paksh-o-pratī-paksh sansad meñ mukhar haiñ
baat itnī hai ki koī pul banā hai
rakt varshoñ se nasoñ meñ khaultā hai
aap kahte haiñ kshanik uttejanā hai
ho ga.ī har ghaaT par puurī vyavasthā
shauq se Duube jise bhī Dūbnā hai
dosto ab manch par suvidhā nahīñ hai
āj-kal nepathya meñ sambhāvanā hai
mat kaho aakash mein kohra ghana hai
ye kisi ki wyakti-gat aalochna hai
surya hum ne bhi nahin dekha subah se
kya karoge surya ka kya dekhna hai
is saDak par is qadar kichaD bichhi hai
har kisi ka panw ghuTnon tak sana hai
paksh-o-prati-paksh sansad mein mukhar hain
baat itni hai ki koi pul bana hai
rakt warshon se nason mein khaulta hai
aap kahte hain kshanik uttejana hai
ho gai har ghaT par puri wyawastha
shauq se Dube jise bhi Dubna hai
dosto ab manch par suwidha nahin hai
aaj-kal nepathya mein sambhawana hai
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 27)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.