meri aankhon mein DhunDhte ho kya
merī āñkhoñ meñ DhūñDhte ho kyā
ḳhud se mil kar bichhaḌ ga.e ho kyā
dhaḌkaneñ haiñ ki baj rahā hai saaz
tum kahīñ gungunā rahe ho kyā
kis qadar e'timād hai ḳhud par
roz ā.īna dekhte ho kyā
sab se milte ho ehtiyāt ke saath
tum kabhī duudh se jale ho kyā
aaj sāñseñ dhulī dhulī sī haiñ
aaj jī bhar ke ro liye ho kyā
meri aankhon mein DhunDhte ho kya
KHud se mil kar bichhaD gae ho kya
dhaDkanen hain ki baj raha hai saz
tum kahin gunguna rahe ho kya
kis qadar e'timad hai KHud par
roz aaina dekhte ho kya
sab se milte ho ehtiyat ke sath
tum kabhi dudh se jale ho kya
aaj sansen dhuli dhuli si hain
aaj ji bhar ke ro liye ho kya
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 417)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.