meri harfon se aashnai thi
merī harfoñ se āshnā.ī thī
par 'ibārat meñ rū-numā.ī thī
sīm-o-zar meñ nahīñ milī vaisī
ḳhaak tujh meñ jo pārsā.ī thī
band āñkhoñ meñ saaf thā manzar
aañkh kholī to dhund chhā.ī thī
jab jab tanhā rahā qarīb mere
jaise kā.enāt simaT aa.ī thī
siyāh shab se kyā Darnā ham pe
tere ḳhayāloñ kī raushnā.ī thī
aa ke dāman meñ gir ga.ī manzil
jab milī terī rahnumā.ī thī
meri harfon se aashnai thi
par 'ibarat mein ru-numai thi
sim-o-zar mein nahin mili waisi
KHak tujh mein jo parsai thi
band aankhon mein saf tha manzar
aankh kholi to dhund chhai thi
jab jab tanha raha qarib mere
jaise kaenat simaT aai thi
siyah shab se kya Darna hum pe
tere KHayalon ki raushnai thi
aa ke daman mein gir gai manzil
jab mili teri rahnumai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.