mujhko gardish mein sambhaala hota
mujh ko gardish meñ sañbhālā hotā
tū agar chāhne vaalā hotā
gāñTh letā jo siyāsī rishte
merā rutba bhī nirālā hotā
āstīneñ hī ba-zid thiiñ varna
maiñ ne sāñpoñ ko na paalā hotā
tājdāroñ kī tavārīḳh meñ kyuuñ
ham faqīroñ kā havāla hotā
dhuup mahloñ ne gachā lī 'alhaḌ'
kaise kuTiyā meñ ujālā hotā
mujh ko gardish mein sanbhaala hota
tu agar chahne wala hota
ganTh leta jo siyasi rishte
mera rutba bhi nirala hota
aastinen hi ba-zid thin warna
main ne sanpon ko na pala hota
tajdaron ki tawariKH mein kyun
hum faqiron ka hawala hota
dhup mahlon ne gacha li 'alhaD'
kaise kuTiya mein ujala hota
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 75)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.