muKHtasar zist ka fasana hai
muḳhtasar ziist kā fasāna hai
jo bhī aayā hai us ko jaanā hai
pahle apnī ḳhudī miTānā hai
phir ḳhudā ke qarīb jaanā hai
maiñ jise zindagī samajhtā huuñ
vo mirī maut kā bahāna hai
log apnoñ se bair rakhte haiñ
merā ġhairoñ se dostāna hai
bevafā.ī to us ne kī hai magar
baat duniyā se ye chhupānā hai
muKHtasar zist ka fasana hai
jo bhi aaya hai us ko jaana hai
pahle apni KHudi miTana hai
phir KHuda ke qarib jaana hai
main jise zindagi samajhta hun
wo meri maut ka bahana hai
log apnon se bair rakhte hain
mera ghairon se dostana hai
bewafai to us ne ki hai magar
baat duniya se ye chhupana hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 45)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.