nazar-navāz nazāra badal na jaa.e kahīñ
zarā sī baat hai muñh se nikal na jaa.e kahīñ
vo dekhte haiñ to lagtā hai niiv hiltī hai
mire bayān ko bandish nigal na jaa.e kahīñ
yuuñ mujh ko ḳhud pe bahut e'tibār hai lekin
ye barf aañch ke aage pighal na jaa.e kahīñ
chale havā to kivāḌoñ ko band kar lenā
ye garm raakh sharāroñ meñ Dhal na jaa.e kahīñ
tamām raat tire mai-kade meñ mai pī hai
tamām umr nashe meñ nikal na jaa.e kahīñ
kabhī machān pe chaḌhne kī aarzū ubhrī
kabhī ye Dar ki ye sīḌhī phisal na jaa.e kahīñ
ye log homo-havan meñ yaqīn rakhte haiñ
chalo yahāñ se chaleñ haath jal na jaa.e kahīñ
nazar-nawaz nazara badal na jae kahin
zara si baat hai munh se nikal na jae kahin
wo dekhte hain to lagta hai niw hilti hai
mere bayan ko bandish nigal na jae kahin
yun mujh ko KHud pe bahut e'tibar hai lekin
ye barf aanch ke aage pighal na jae kahin
chale hawa to kiwaDon ko band kar lena
ye garm rakh shararon mein Dhal na jae kahin
tamam raat tere mai-kade mein mai pi hai
tamam umr nashe mein nikal na jae kahin
kabhi machan pe chaDhne ki aarzu ubhri
kabhi ye Dar ki ye siDhi phisal na jae kahin
ye log homo-hawan mein yaqin rakhte hain
chalo yahan se chalen hath jal na jae kahin
Source :
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 25)
- Author : Dushyant Kumar
-
Publication : Radha krishna private limited
(1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.