phul jab bhi sanware gae
phuul jab bhī sañvāre ga.e
Tahniyoñ se utāre ga.e
dard jab bhī jahāñ bhī baTe
bār-hā ham pukāre ga.e
ham-safar dost hamrāz the
vaqt-e-mushkil vo saare ga.e
tum mile to ye kyā ho gayā
sab hamāre tumhāre ga.e
jo chhalāñgoñ se chhat par chaḌhe
sab se pahle utāre ga.e
phul jab bhi sanware gae
Tahniyon se utare gae
dard jab bhi jahan bhi baTe
bar-ha hum pukare gae
ham-safar dost hamraaz the
waqt-e-mushkil wo sare gae
tum mile to ye kya ho gaya
sab hamare tumhaare gae
jo chhalangon se chhat par chaDhe
sab se pahle utare gae
- Book : Gazal, Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.