rahguzar-e-dard ki sari katha kah lijiye
rahguzār-e-dard kī saarī kathā kah lījiye
manziloñ par justujū kā marsiya kah lījiye
ek rishta hai abhī baaqī hamārā aap se
ab use kahiye tasavvur yā duā kah lījiye
rañg haiñ qaa.em agar apnī jagah par dosto
phir mirī āñkhoñ ko dhuñdhlā aa.ina kah lījiye
ab hirās-e-vus.at-e-shab kī yahī tadbīr hai
chāñd ko sūraj añdhere ko ziyā kah lījiye
pūchhte haiñ log jab mujh se judā.ī kā sabab
kah diyā kartā huuñ qismat kā likhā kah lījiye
ab kahāñ vo rañg-e-ḳhūn-e-dil kī akkāsī ki ab
sher-goī kā mahz ik mashġhala kah lījiye
ham miTe jaate haiñ 'sāhil' ibtidā-e-shauq meñ
aap chāheñ to usī ko intihā kah lījiye
rahguzar-e-dard ki sari katha kah lijiye
manzilon par justuju ka marsiya kah lijiye
ek rishta hai abhi baqi hamara aap se
ab use kahiye tasawwur ya dua kah lijiye
rang hain qaem agar apni jagah par dosto
phir meri aankhon ko dhundhla aaina kah lijiye
ab hiras-e-wusat-e-shab ki yahi tadbir hai
chand ko suraj andhere ko ziya kah lijiye
puchhte hain log jab mujh se judai ka sabab
kah diya karta hun qismat ka likha kah lijiye
ab kahan wo rang-e-KHun-e-dil ki akkasi ki ab
sher-goi ka mahz ek mashghala kah lijiye
hum miTe jate hain 'sahil' ibtida-e-shauq mein
aap chahen to usi ko intiha kah lijiye
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.